Twitter account kaise banaye ? Full jankari
Twitter account kaise banaye ? Iski Full jankari ke liye is article me bataye Gaye sabhi Steps ko shuru se ant Tak follow kijiye . Is article me hum aapko batayenge ki kaise Twitter account kaise banate he . Kya Kya fayde he Twitter ke , Twitter ke janak Kon he ?
Hii friends welcome he aapka hamari website Tec India Sandeep.com me . Is site par aapko blog , technology, online paise kaise kamaye, kahaniyan aadi se related information milti he . And Aaj ka Jo hamara topic he wo Technology Gayan se related he yaani create new twitter account. “Twitter account kaise banaye ? Full jankari .” Is Post me hum aapko batayenge…..
Twitter Kya he ?
Twitter ke owner Kon he? Twitter ki shuruaat kab and kaise Hui ?
Twitter ke Kya Kya fayde he ?
Twitter par apna account kaise banaye ? Full jankari
Twitter Kya hai ?
Basically Twitter ek social media platform he . Jaisa ki Facebook, Instagram , LinkedIn aadi he . Twitter ke maximum 500 million users he Jisme se 85% mobile device ka use Kar rahe he . Yahan users aate he taking wo ek doosre ko follow karke communicat Kar sake . Twitter ne Poore global ko cheap bana Diya he . Twitter me banayi gai profile public hoti he – aap duniya ke kisi bhi kone me ho apne friend ko dekh sakh sakte unse Jude rah sakte ho apni baate un Tak pahuncha sakte ho.
isme aap chahe to apni profile ko secure bhi bana sakte he .jisse aapki profile koi padh na sake. Twitter ko aap microblogging ka name de sakte he . Kyunki ye aapko apne vicharon, shayri , jokes, ko publish karne ki facility deta he . But iski bhi ek limitation hoti he. Twitter par aap 140 character se jyada publish nahi jar sakte .
Iska matalab he ki Twitter nahi chahta ki aap jyada badi information share Kare . Isliye aapko yahan apne vicharon ko short information me concert karke publish karna hota he .
Twitter me Jo sort massage publish kiye jate he unhe Tweets kaha jata he . And inhe twite karna twitting kahlata he. Yaha users unhe hi follow karte jinhe would like karte .
Twitter ke owner Kon hai? Twitter ki shuruaat kab and kaise Hui ?
Twitter ke owner jack dorsey ko aaj duniya bhar me Kon nahi janta. Inhone duniya bhar me apni ek achhi pahchan banai he . Jck Dorsey ka janam year 1976 me St. Louis {Missouri USA} me huaa tha. Jack bachapan se hi bade hi kushagra buddi our shant swabhav ke the . Inhe tennis, drawing, art and computer me kaam karna ka bahut shouk tha. Jab wo 13 years ke the tabh unhe dhire dhire dispatch routine me intereste aane laga. Unhone taxi cab companys ke liye software bhi tyaar kiye Jo successfull rahe .
Wo research Kar rahe the ki city kaise kaam karti he . Wo Janna chahte the city ke baare me . computer me sadkon ke naxe banaya karte the. Is khel hi khel me unhone aage chalkar ek Worldwide company ka nirman Kiya . Jiska name rakha Gaya ‘Twitter’. Kaha jata he ki jack ko Twitter ka idea taxi drivers se aaya tha. Jab bhi taxi drivers aapsa me baat Kiya karte to jack unki chhoti chhoti baaton ko notice karte the.
Currier ki start me unhone dispatch management service crop ko join Kiya . Is company me kaam karte karte jack ne website ke secure system ko hack Kiya and company manager ko ek main bheja jisse company ne unhe information system team me hire Kiya yahan par jack ne sms ki pori jankari li , bahut achhe se seekha . Kuchh years inhone taxi’s, car ke software banaye. But kuchh years baad wo is company se haath dho baithe . Iske baad jack ne something 4-5 year freelancing work Kiya .
Baad me jack ne ek odeo company ko join Kiya joki internet startup me specialist thi. Ek din jack ne playground me company ki team ko apne sms service ke baare be bataya ki hum company ke liye sms service tyaar karte he and Isse users massage ko online share kar payenge . Jack ke friends ne sath Diya just poora karne me unhe 2-3 week lage. Ab unka Twitter ready tha . Twitter new thinking to thi hi but iske liye koi new company Established nahi Hui thi . Baad me odeo company ke Malik evan Williams bhi jack ke sath jud Gaye and dono need milkar kaam Kiya . Twitter name kyun rakha Gaya iske baare jack ne bataya – iska arth “mahatvheen jankari ka chhota sampreshan and bird ka chahchahana he.” Our hamara product bhi isi ke jaisa he .
Twitter ke Kya Kya fayde he ?
Jaisa ki aap log dekh hi rahe he ki social media ki pahuch Kahan se Kahan pahunch gai he . Aapko har ek khabar har jagah mil jati he . Isme Twitter bhi apni bhumika nibha raha he . Twitter me aapko Kam sabdo me apne vicharon ko kahna hota he jisse aap apn sms to pahucha hi rahe he sath hi sath baat karne ka hunner bhi sekh rahe he . Aaiye jante he Twitter se Jude kuchh fayde ke baare me .
First
Aaj Twitter ki help se world , country ki Jaani maani hastiyan aasani se apne friends, apne followers ko new new information se avgat Kara rahi he .
Second
Twitter ki help se log apne friends and family se Jude huye he.
Third:
Twitter desh-videsh ki jankari chutkiyon me logo Tak pahuncha raha he .
Forth
Advertising ke liye Twitter bahut achhi bhoomika nibhata he.
Fifth
Apne pasandita celebraty ko follow karke unki taja jankari badi aasani se paa sakte he.
To friends ye the kuchh Twitter se jude fayde ab chaliye jante he ki Twitter account kaise banaye ? Create new twitter account.
Create new twitter account. Twitter account kaise banaye ? Full jankari
Kaise aap bhi Twitter account kaise banaye In Steps ko follow karke. ….. Twitter par account banane ke liye and Twitter use karne ke liye aapko ek Android phone our internet connection ki jarurat hoti he . Twitter account kaise banaye banane ke liye aapko iske official website twitter.com par bhi ja sakte he ya application bhi install kar sakte he . Jo aapko play store par aasani se mil jata he . Main aapko recommend karunga ki pahle aap Twitter application download Kar le .
Facebook par apna account kaise banaye?
Gmail account kaise banaye mobile se?
Apna khud ka what’s app group kaise banaye?
Step 1
Twitter application open kijiye .
Step 2
Yahan aapko kuchh is tarah ka interface dekhne ko milta he . Hume new account banana he isliye hum sign up ke button par click karenge Jo right hand side par uper ki taraf show ho raha he .
Yadi aapko create New account ka option show ho raha he to aap us par click kijiye.
Step 3
Yahan aapko first column par name and second column par phone number ya email number dalna he . Main yahan apna mobile number dal raha Hun.
Step 4
Ab aapko next ke button ko press Kar Dena he .
Step 5
Customize your experience yahan bhi next ke button ko press Kar Lena he.
Step 6
Yahan aapko simply sign up par click karna he and ok press kijiye
Step 7
Ab aapke mobile number par ek varification code aayega use yahan inter karke next par click karna he .
Step 8
Ab aapko ek password type karna he Jo aapko hamesha yaad ho.
(Note : yah password 6 character ya use adhik a hona chahiye.)
Step 9
Ab aapko upload par click karke apni gallery se profile image choose kar Lena he and next ke button ko press Kar Dena he.
Step 10
Yahan aapko thoda sa apne bhare me likhna he. Yadi aap apne followers ko apne baare nahi batana chahte ya baad me batana chahte he to laft hand side par skip ka option he is press kijiye.
( Ex. Aap Kon he , aap Kya karte he .)
Step 11
Ab aap not now par click kijiye . Contact friends ko invite karna chahte he to sync contact par click kijiye . Main not now par click Kar raha Hun.
Step 12
Yahan par aapko apni language select karke next ke button ko press Kar Lena he .
Step 13
Ab aapko un options ko select kar Lena he Jin par aap interested he . Yadi aap interested nahi he to skip Kar dijiye. And next press.
Step 14
Yahan se aap follow karna chahe to Kar sakte he . Our nahi chahte he to next par click kijiye.
Ab aapka Twitter account pori tarah se create ho Gaya he . Ummed he ki aapne Twitter me successfully apna account ban liya hoga .
Aasha karta Hun ki aapko hamari post create new Twitter account.”Twitter account kaise banaye ? Full jankari 2019.” Pasand aai hogi and Isse kuchh seekhne ko mila hoga . Aisi interesting post aapke liye late rahte he . Apna keemti samay dene ke liye thanks.
1 thought on “Twitter account kaise banaye? Full jankari”