free responsive templates. blog ke liye free template kaha se download kare? full jankari
free responsive templates. blog ke liye free template kaha se download kare? Iske baare me full jankari dunga . Yadi aap bhi aapne blog ke liye free and responsive templates chahte he to aaj ka ye post aapke liye hi he . Bilkul is post ko chhod Kar maat jana kyunki isme hum aapko bilkul details me batane wale he new blogger ke liye ek free and responsive templates kitna jaruri he .
Jab new bloggers blogging ki duniye me kadam rakhte he to unhe bilkul kuchh idea nahi hota he ki wo kaisi templates use Kare? Kahan se download Kare ? Isliye wo yahan wahan bhatakte rahta he . Lekin mujhe nahi lagta ki aaj ke is article ko padhne ke baad aapko kahi bhatakne ki jarurat hogi . Isliye is article ko step by step follow kijiye.
Hii friends welcome he aapko Tec India Sandeep me . Is blog me hum aapko Technology, blog, online paise kaise kamaye and kahaniyan se related information provide karte he . And Aaj ja hamara topic he “free responsive templates. blog ke liye free template kaha se download kare? full jankari 2019 Tec India Sandeep.” Yaani hum batane wale he “free responsive templates” ke baare me .
Responsive templates Kya he ? Kyun jaruri hai?
free responsive templates Kahan se download Kare ?
free responsive templates kaise download Kare ?
Download ki gai zip file ko unzip ya xml me kaise convert kare?
Blog me template kaise updated Kare?
Responsive templates Kya he ? Kyun jaruri hai?
Har blogger ko apne blog ke liye ek responsive templates ki jarurat hoti he . Jo templates mobile friendly hoti he yaani mobile and PC dono me automatically adjust hi jati he use responsive templates kaha jata he .
Responsive templates blog ko ek achha look deta he and visitors ko attract karta he . Dhyan rakhe apne blog ke liye templates hamesha responsive and simple hi rakhe . Isse aapko AdSense ka approvel lene me madad milti he .
Blog ke liye mera tag generate kaise kare?
free responsive templates Kahan se download Kare ?
Templates download karne ke liye aapko internet me bahut si website mil jayegi Jo aapko achhe achhe mobile friendly and seo friendly templates provide karti he . Lekin in me bahut si templates paid bhi hoti he . Jiske liye aapko payment pay karna hota he.
Yadi aap New blogger he and payment pay nahi karna chahte he tab bhi aapko free responsive templates mil jayegi . Aap usse bhi AdSense ka approvel aashani se le paoge . Kafi log apne blog ke liye free templates hi use karte he . Main aapko kuchh aisi 5 website ke name Bata rahan hun aap wahan se templates download Kar sakte . Yahan aapko kuchh paid templates bhi milegi and free bhi mil jayegi.
1 Colorlib.com
Colorlib.com website ki templates aapke blog ke liye kafi achhi sabit ho sakti he . Bahut popular he ye templates site bhi . Is website me aapko bahut sari category par templates use karne ke liye mil jayenge .
Ex. Education, photography, travel, food , fashion, animals vagairah vagairah .
Aap apne blog ke anusar choose kar sakte he . Colorlib.com aapko free me responsive templates provide karti he.Ye aapke mobile ho ya PC ho dono me hi adjust ho jati he . Isme free templates and premium templates dono ke pages alag alag diye Gaye he . Ye aapke mobile ho ya PC ho dono me hi adjust ho jati he . Isme aapko our bhi pages dekhne ko milenge .iske sath hi aapko apne templates me kitne column , kitne footer , sitbaar and ads ke liye jagah sab kuchh preview dekh Kar download Kar sakte ho.
Click here : Colorlib.com
2 AS Templates.com
As templates.com me bhi aapko bahut se categories per template mil jaenge. Yahan per bhi aapko alag alag pages dekhne ko milenge. jisme free and paid templates ke alag alag pages milenge. Yadi aapko blog ke liye chahiye to uska page alag hai and WordPress blog he to uske liye bhi alag se a page Mil jayega Yahan bhi aapko templates dhundhne mein jyada koi problem nahin hongi. Aasani se apna manpasand template choose kar paoge.
Click here: AS Templates.com
3 zero theme.com
Zero theme.com bhi kafi achhi website he. Aap chaho to yahan se bhi templates download Kar sakte ho . Yahan bhi aapko free me responsive templates dekhne ko mil jayegi our yadi aap paid Lena chaho to aapko paid templates bhi mil jayegi . Is website par aapko free templates upar hi dekhne ko mil jayenge inhone free templates samne hi rakha and niche premium templates di gai he . Aap is website se hi theme download Kar sakte ho.
Click here: Zero theme.com
4 BOOTSTRAPMADE.Com
Kafi popular website he ye bhi templates ke liye . website me bhi aapko apne blog ke liye free templates use karne ke liye mil jayenge . Aap yaha popular templates bhi dekh payenge , kis template ko kitne baar download Kiya Gaya he? Ye Sara kuchh aapko dekhne ko yaha mil jayega . Yadi pro. Templates Lena ho to wo bhi aap pay karke le sakte he.
Click here: BOOTSTRAPMADE.Com
5 gooyaabitemplates.com
Ye bahut hi popular website se templates ke mamle me main bhi isi website bki templates ko use karna jyada pasand karta Hun . Isme bhi aapko free me responsive templates and paid templates mil jayegi . Yahan aapko free me seo ready , mobile friendly templates mil jayegi yadi aap bilkul new user he to main aapko recommend karunga ki aap jyada na bhatake and yahan se templates use Kar sakte he.
Click here: gooyaabi templates.com
free responsive templates kaise download Kare ?
free responsive templates aap bhi apne mobile me ta PC me kaise download Kar sakte he iski jankari bilkul Step by step bataunga . Aasani se aap bhi in steps ko follow karke free me responsive templates download kar sakte ho.
Sabse pahle apne Crome browser ya koi bhi browser Jo aap use karte he open kar lijiye.
Step 1
Google par “gooyaabi templates.com” type karke search kijiye . Kyunki hum gooyabi.com se download karenge.
Step 2
Aapko sabse uper hi gooyaabi.com ki site dekhne ko mil jayegi usse open kijiye .
Step 3
Hume responsive templates chahiye isliye hum responsive templates par click karenge.
Step 4
Ab aapko Jo bhi templates download karna he us par click kijiye . Jaise main kisi ek template fastest par click karta Hun.
Step 5
Yahan par aapko three options dekhne ko milenge .
Live preview – yahan se aap templates ka demo dekh sakte he ki aapka template kaisa dikhai dega ?
Buy – yadi aap paid template Lena chahte he to yahan se kharid sajte he .
Download – yahan se aap templates ko download Kar sakte he . And free me use Kar sakte he.
Step 6
Download ke button par click karke ise download Kar le.
Download ki gai zip file ko unzip ya xml me kaise convert kare?
Jab aap kisi bhi templates ko download karte he to wo aapko zip file me milta he . Use karne ke liye aapko templates unzip yani XML file me converte karna hota he . Unzip yani XML file me converte karne ke liye in steps ko follow kijiye..
Step 1
First – File manager open kijiye.
Step 2
Aapne jis browser se templates ko download Kiya he us browser ki file open kijiye . And download ki file open kijiye. Yadi directly download ki file mil rahi he to use open kijiye.
Step 3
Ab aapne jis name ki templates download ki he us template ka name show ho raha hoga and name ke baad .zip dikhai dega .
Ex. Fastest.zip
Step 4
Is par click kijiye. Ab aapko unzip ya decompress ka option show huaa hoga ok par click kijiye .
Automatically aapka template unzip ya xml file me converte ho gayega.
Ummed he ki aapne template ko unzip Kar liya hoga .
Blog me template kaise updated Kare?
Blog me template updated karne ke liye apne blog ke dashboard par jaaiye.
Step 1
Theme ke option par click kijiye.
Step 2
Right hand side par Backup/restore ka option show ho raha hoga wahan click kijiye.
Step 3
Yadi aap pahle wali theme ko download karke rakhna chahte he to download ke button par click karke use download Kar dijiye.
Step 4
Choose file par click kijiye. Ab aapne Jo file unzip yani XML file me converte ki he use select kijiye.
Step 5
Ab simply upload par click kar dijiye. Aapka template upload ho jayega.
Conclusion
Ummed he ki aapne apne blog par successfully template download Kar liya hoga .
Aaj ke is article me humne aapko “free me responsive templates. blog ke liye free template kaha se download kare? Ki full jankari di he . Aasha karta Hun hamari blog post “free responsive templates. blog ke liye free template kaha se download kare? full jankari.” Pasand aayi hogi. And Isse kuchh seekhne ko Mila hoga . Yadi aapko is artical se related koi bhi help chahiye to aap comment Karke pooch sakte.
1 thought on “free responsive templates. blog ke liye free template kaha se download kare? full jankari”